Shehar - Mere Khayalon Ka...
Wo dusre shahron se alag nahi hai,
Par wo koi aam shehar bhi to nahi hai...
Bhid me bhi,,,
har ek ka apna chehra hai wahan,,,
khwab hai,
ummidein hain,
betaabiyan hain,
jazbaat hain,
muskaan hai labon pe kahin,
kahin pe aarzoo hai...
Har ek dil me,,,
jhunzalata hua ek dariya hai wahan,,,
ansoo hai,
gussa hai,
pyar hai,
nafraat hai,
gila hai kisise,
kisise shikwa bhi hai...
Har ek nigah,,,
kuchh dhundhti rehti hai wahan,,,
tilism hai,
noor hai,
sarmaya hai,
fayyah hai,
saya hai kisi apne ka,
kisi apne ko kahi khoya bhi hai...
Mera shehar,
ek zinda dhadakta dil hai...
Jo kisi aam shehar ki taraha bejaan nahi hai...
Mera Shehar,
Mere Khayalon Ka Shehar...
Koi aam shehar nahi hai...
Wo dusre shahron se alag nahi hai,
Par wo koi aam shehar bhi to nahi hai...
Bhid me bhi,,,
har ek ka apna chehra hai wahan,,,
khwab hai,
ummidein hain,
betaabiyan hain,
jazbaat hain,
muskaan hai labon pe kahin,
kahin pe aarzoo hai...
Har ek dil me,,,
jhunzalata hua ek dariya hai wahan,,,
ansoo hai,
gussa hai,
pyar hai,
nafraat hai,
gila hai kisise,
kisise shikwa bhi hai...
Har ek nigah,,,
kuchh dhundhti rehti hai wahan,,,
tilism hai,
noor hai,
sarmaya hai,
fayyah hai,
saya hai kisi apne ka,
kisi apne ko kahi khoya bhi hai...
Mera shehar,
ek zinda dhadakta dil hai...
Jo kisi aam shehar ki taraha bejaan nahi hai...
Mera Shehar,
Mere Khayalon Ka Shehar...
Koi aam shehar nahi hai...
No comments:
Post a Comment